saya jis ka nazar aata hai mujhe
wo bhi saya nazar aata hai mujhe
wo jo hota hi chala jata hai
kuchh na hoga nazar aata hai mujhe
chaT jati hai nazaron ko nazar
kya kahun kya nazar aata hai mujhe
aaina phand gaya josh-e-junun
bilkul aisa nazar aata hai mujhe
har likha KHama-e-danai ka
aaj ulTa nazar aata hai mujhe
kya ghazab hai ki mara asl wajud
aks mera nazar aata hai mujhe
kya qayamat hai ki jata hua waqt
idhar aata nazar aata hai mujhe
kahin KHushbu hai sunai deti
kahen naghma nazar aata hai mujhe
bij bas apne shajar hone ka
ek irada nazar aata hai mujhe
be-musafir hai safar pesh-e-nazar
zehn goya nazar aata hai mujhe
har guman ek haqiqat hai 'muhib'
sach-much aisa nazar aata hai mujhe
Ghazal
Saya jis ka nazar aata hai mujhe
Muhib Aarfi

