sawan-rut aur uDti purwa tere nam
dhup-nagar se hai ye tohfa tere nam
surKH gulab ke sare mausam tere liye
KHwabon ka har ek daricha tere nam
chand ki aankhen phul ki KHushbu bahti raat
qurbat ka har ek wasila tere nam
barf mein phaila sham dhundalka tere liye
har ek subh ka pahla ujala tere nam
hansti hui si teri aankhen mere liye
bahti jhil mein phul kanwal ka tere nam
teri yaad ka bahta dariya mere liye
chahat ka ye tanha jazira tere nam
duniya-bhar mein jitne manzar achchhe hain
un ka husn aur shor hawa ka tere nam
Ghazal
Sawan-rut aur uDti purwa tere nam
Tajdar Adil