اردو हिंदी
Sat suron ka bahta dariya tere nam | Shaahi Shayari
sat suron ka bahta dariya tere nam

Ghazal

Sat suron ka bahta dariya tere nam

Ayub Khawar

;

sat suron ka bahta dariya tere nam
har sur mein hai rang-dhanak ka tere nam

jangal jangal uDne wale sab mausam
aur hua hai sabz dupaTTa tere nam

hijr ki sham akeli raat ke KHali dar
subh-e-firaq ka zard ujala tere nam

tere bina jo umr batai bit gai
ab is umr ka baqi hissa tere nam

in shair aaankhon ne jitne rang chune
un ka aks aur mera chehra tere nam

dukh ke gahre nile samundar mein 'KHawar'
us ki aankhen ek jazira tere nam