اردو हिंदी
Saqi ki nawazish ne to aur aag laga di | Shaahi Shayari
saqi ki nawazish ne to aur aag laga di

Ghazal

Saqi ki nawazish ne to aur aag laga di

Mahirul Qadri

;

saqi ki nawazish ne to aur aag laga di
duniya ye samajhti hai meri pyas bujha di

ek bar tujhe aql ne chaha tha bhulana
sau bar junun ne teri taswir dikha di

is baat ko kahte hue Darte hain safine
tufan ko KHudi daman-e-sahil ne hawa di

mana ki main pamal hua zaKHm bhi khae
auron ke liye rah to aasan bana di

utni to mai-e-nab mein garmi nahin hoti
saqi ne koi chiz nigahon se mila di

wo chain se baiThe hain mere dil ko miTa kar
ye bhi nahin ehsas ki kya chiz miTa di

ai baad-e-chaman tujh ko na aana tha qafas mein
tu ne to meri qaid ki miad baDha di

le de ke tere daman-e-umid mein 'mahir'
ek chiz jawani thi jawani bhi luTa di