saqi ki ek nigah ke afsane ban gae
kuchh phul TuT kar mere paimane ban gae
kaTi jahan tasawwur-e-jaanan mein ek shab
kahte hain log us jagah but-KHane ban gae
jin par na sae zulf-e-ghazalan ke paD sake
ehsas ki nigah mein virane ban gae
jo pi sake na surKH labon ki tajalliyan
duniya ke tajrabaat se anjaane ban gae
'saghar' wahi maqam hai ek manzil-e-faraaz
apne bhi jis maqam pe begane ban gae

Ghazal
Saqi ki ek nigah ke afsane ban gae
Saghar Siddiqui