saqi ke nam-lewa maiKHane rah gae hain
mai-KHanon mein bhi KHali paimane rah gae hain
be-maqsad-e-junun hain majnun jo dasht mein hain
laila nahin rahi hai diwane rah gae hain
ban kar jo ek haqiqat duniya pe chha gae the
duniya mein aaj un ke afsane rah gae hain
mahfil rahe tumhaari mahfil mein tum raho ab
wo kya rahen jo ho kar begane rah gae hain
pahchanna ab un ko dushwar ho gaya hai
jo log apne jaane-pahchane rah gae hain
qabron mein sone walo tum ko pukarte hain
ishrat-kade jo ban kar gham-KHane rah gae hain
dekh ai nigah-e-ibrat aasar-e-ahd-e-mazi
aabaadiyon ke ho kar virane rah gae hain
ai gosh-e-ibrat un ko tu sun sake to sun le
ye kuchh haqiqaton ke afsane rah gae hain
ai sham-e-subh-e-mahfil un ko jala ke bujhna
do-chaar aur tere parwane rah gae hain
diwanon ko jo 'bismil' badnam kar rahe hain
diwanon mein abhi kuchh farzane rah gae hain
Ghazal
Saqi ke nam-lewa maiKHane rah gae hain
Bismil Saeedi

