saqi jo diye jae ye kah kar ki piye ja
to main bhi piye jaun ye kah kar ki diye ja
jaane ki jo zid hai to mujhe zahr diye ja
itna to kaha man le itna to kiye ja
kuchh aur na kar mujh pe jafaen tu kiye ja
kuchh aur na le meri duaen tu liye ja
kya lazzat-e-tazir ne majbur kiya hai
aata hai yahi ji mein ki taqsir kiye ja
kam-baKHt 'rasa' teri rasai nahin un tak
tu KHub sa islam ko badnam kiye ja

Ghazal
Saqi jo diye jae ye kah kar ki piye ja
Rasa Rampuri