samne hai jo use log bura kahte hain
jis ko dekha hi nahin us ko KHuda kahte hain
zindagi ko bhi sila kahte hain kahne wale
jine wale to gunahon ki saza kahte hain
fasle umr ke kuchh aur baDha deti hai
jaane kyun log use phir bhi dawa kahte hain
chand masum se patton ka lahu hai 'fakir'
jis ko mahbub ki hathon ki hina kahte hain
Ghazal
Samne hai jo use log bura kahte hain
Sudarshan Faakhir