اردو हिंदी
Sahil se bich samundar gahra pani | Shaahi Shayari
sahil se bich samundar gahra pani

Ghazal

Sahil se bich samundar gahra pani

Krishna Kumar Toor

;

sahil se bich samundar gahra pani
ghar miTTi ghar se bahar gahra pani

ye asrar hai zahir us ke hone ka
manzar ho ya pas-manzar gahra pani

dil ko kya dekhte ho ai dekhne walo
bahar KHushki aur andar gahra pani

Dub ke hi main shayad par nikal jaun
mera kya mere andar gahra pani

waqt kab ek si haalat rahne deta hai
ho jata hai ret aksar gahra pani

aasman par chand chamakta hai KHali
niche hai poshida gauhar gahra pani

be-payan karta hun 'tur' apne ko main
ek KHali tasht mein bhar kar gahra pani