saghar mein shakl-e-duKHtar-e-raz kuchh badal gai
KHum se nikal ke nur ke sanche mein Dhal gai
sad-sala daur-e-charKH tha saghar ka ek daur
nikle jo mai-kade se to duniya badal gai
kahti hai nim-wa ye chaman ki kali kali
fariyaad-e-andalib kaleja masal gai
saqi idhar uTha tha udhar hath uTh gae
botal se kag uDa tha ki rindon mein chal gai
angDai le ke aur bhi wo soe chain se
phulon ki pankhiyan jo nasim aa ke jhal gai
daman mein duKHt-e-raz ne lagaya zarur dagh
jis parsa ki god mein ja kar machal gai
ghabra ke bole nama-e-'gustaKH' to nahin
jab un ke pas koi hamari ghazal gai
Ghazal
Saghar mein shakl-e-duKHtar-e-raz kuchh badal gai
Gustakh Rampuri