اردو हिंदी
Sae ki tarah baDh na kabhi qad se ziyaada | Shaahi Shayari
sae ki tarah baDh na kabhi qad se ziyaada

Ghazal

Sae ki tarah baDh na kabhi qad se ziyaada

Iqbal Sajid

;

sae ki tarah baDh na kabhi qad se ziyaada
thak jaega bhagega agar had se ziyaada

mumkin hai tere hath se miT jaen lakiren
ummid na rakh gauhar-e-maqsad se ziyaada

lag jae na tujh par hi tere qatl ka ilzam
badnam to hota hai bura bad se ziyaada

KHwahish hai baDai ki to andar se baDa ban
kar zehn ki bhi nashw-o-numa qad se ziyaada

dekhun to mere jism pe shaKHen hain na patte
sochun to ghana chhanw main bargad se ziyaada

rahne do KHalaon mein meri qabr na khodo
hai pyar mujhe KHak ki masnad se ziyaada

aankhen to lagi rahti hain darwaze ki jaanib
milti hai KHushi apni hi aamad se ziyaada

kya jaaniye kya baat hai ek umr se 'sajid'
viran hai TuTe hue marqad se ziyaada