اردو हिंदी
RuTh kar nikla to wo us samt aaya bhi nahin | Shaahi Shayari
ruTh kar nikla to wo us samt aaya bhi nahin

Ghazal

RuTh kar nikla to wo us samt aaya bhi nahin

Aslam Kolsarii

;

ruTh kar nikla to wo us samt aaya bhi nahin
aur main ne aadatan ja kar manaya bhi nahin

aan baiThi hai munDeron par KHizan ki zard lau
main ne koi peD aangan mein ugaya bhi nahin

phir sulagti ungliyan kis tarah raushan ho gain
us ne mera hath aankhon se lagaya bhi nahin

apni sochon ki bulandi aur wusat kya karun
aasman ka saeban kya jis ka saya bhi nahin

phir gali-kuchon se mujh ko KHauf kyun aane laga
jagmagata shahr hai 'aslam' paraya bhi nahin