اردو हिंदी
Ru-ba-ru un ke koi harf ada kya karte | Shaahi Shayari
ru-ba-ru un ke koi harf ada kya karte

Ghazal

Ru-ba-ru un ke koi harf ada kya karte

Ibrahim Ashk

;

ru-ba-ru un ke koi harf ada kya karte
dard to hum ko chhupana tha sada kya karte

bewafai bhi wafa hi ki tarah ki us ne
aise insan se karte to gila kya karte

chhin gain hath uThane se duaen mahngi
hausla phir wo duaon ka bhala kya karte

kuchh to aate rahe ummid ke jhonke warna
itna shadab mujhe aab o hawa kya karte

apne meayar se girna nahin aaya hum ko
apne kirdar ko hum is se siwa kya karte

jab bhi aaya koi achchha hi KHayal aaya hai
'ashk' hum jaise zamane ka bura kya karte