ruk ruk ke kabhi muD ke tujhe dekh raha hun
main teri judai se bahut KHauf-zada hun
us shaKHs se milne ki jasarat hi nahin ki
KHwabon ke dariche se jise jhank raha hun
main tundi-e-haalat se KHaif nahin hota
ai KHak-nashino main bagulon mein pala hun
duri ki koi lahr na le jae baha kar
chahat ke samundar mein safar kar to raha hun
ek samt andhera hai to ek samt kaDi dhup
haalat ke ek aise dorahe pe khaDa hun
har samt nae dukh ke samundar ki sada hai
main tark-e-talluq ke jazire pe khaDa hun
tum qat-e-marasim pe ho aamada to kya hai
ye zahr to ek umr se main chaT raha hun
aaegi mere jism se iKHlas ki KHushbu
main phul hun aur pyar ki Tahni pe saja hun
Ghazal
Ruk ruk ke kabhi muD ke tujhe dekh raha hun
Niyaz Husain Lakhwera

