اردو हिंदी
Rujua banda ki hai is tarah KHuda ki taraf | Shaahi Shayari
rujua banda ki hai is tarah KHuda ki taraf

Ghazal

Rujua banda ki hai is tarah KHuda ki taraf

Haidar Ali Aatish

;

rujua banda ki hai is tarah KHuda ki taraf
phire zamir-e-KHabar jaise mubtada ki taraf

baid kya hai murawwat se teri ai shah-e-husn
nigah-e-lutf se dekhe jo tu gada ki taraf

kahan wo zulf kahan KHun-e-nafa-e-ahu
jo mushk samjhe hain wo log hain KHata ki taraf

ulajh ke shane se khata hai saikDon jhaTke
qusur se ye tere gesu-e-rasa ki taraf

KHuda ne dard-e-mohabbat ata kiya hai jise
use tawajjoh-e-KHatir nahin dawa ki taraf

mala jo tum ne lahu dast-o-pa mein aashiq ka
na hoga mel tabiat ko phir hina ki taraf

karega yar meri jang-e-ghair mein imdad
jo aashna hain wo hote hain aashna ki taraf

firaq-e-yar mein rahta hai yun tasawwur-e-gor
KHayal jaise musafir ka ho sara ki taraf

na hoga ham-safar-e-ruh paikar-e-KHaki
ye su-e-arz-e-rawan hoga wo sama ki taraf

bahut KHarab raha but-kade mein ai 'atish'
KHuda-parast hai chal KHana-e-KHuda ki taraf