اردو हिंदी
Roz taron ko numaish mein KHalal paDta hai | Shaahi Shayari
roz taron ko numaish mein KHalal paDta hai

Ghazal

Roz taron ko numaish mein KHalal paDta hai

Rahat Indori

;

roz taron ko numaish mein KHalal paDta hai
chand pagal hai andhere mein nikal paDta hai

ek diwana musafir hai meri aankhon mein
waqt-be-waqt Thahar jata hai chal paDta hai

apni tabir ke chakkar mein mera jagta KHwab
roz suraj ki tarah ghar se nikal paDta hai

roz patthar ki himayat mein ghazal likhte hain
roz shishon se koi kaam nikal paDta hai

us ki yaad aai hai sanso zara aahista chalo
dhaDkanon se bhi ibaadat mein KHalal paDta hai