roz dil mein hasraton ko jalta bujhta dekh kar
thak chuka hun zindagi ka ye rawayya dekh kar
reza reza kar diya jis ne mere ehsas ko
kis qadar hairan hai wo mujh ko yakja dekh kar
kya yahi mahdud paikar hi haqiqat hai meri
sochta hun din Dhale ab apna saya dekh kar
kuchh talab mein bhi izafa karti hain mahrumiyan
pyas ka ehsas baDh jata hai sahra dekh kar
mere KHwabon par bhi us ne nam apna likh liya
ab bhi kyun KHamosh hun main ye tamasha dekh kar
sach to ye hai sab ko apni jaan pyari hai yahan
uD gae sare parinde peD kaTta dekh kar
'shad' jaane ji rahe ho kaun si duniya mein tum
duniya duniya kar rahe ho ab bhi duniya dekh kar
Ghazal
Roz dil mein hasraton ko jalta bujhta dekh kar
Khushbir Singh Shaad