rog aise bhi gham-e-yar se lag jate hain
dar se uThte hain to diwar se lag jate hain
ishq aaghaz mein halki si KHalish rakhta hai
baad mein saikDon aazar se lag jate hain
pahle pahle hawas ik-adh dukan kholti hai
phir to bazar ke bazar se lag jate hain
bebasi bhi kabhi qurbat ka sabab banti hai
ro na paen to gale yar se lag jate hain
katranen gham ki jo galiyon mein uDi phirti hain
ghar mein le aao to ambar se lag jate hain
dagh daman ke hon dil ke hon ki chehre ke 'faraaz'
kuchh nishan umr ki raftar se lag jate hain
Ghazal
Rog aise bhi gham-e-yar se lag jate hain
Ahmad Faraz