reza reza jaise koi TuT gaya hai mere andar
kaun hai 'sayyad' karb jo itne jhel raha hai mere andar
ujDi ujDi KHwab ki basti sahra sahra aankhen meri
jaane ye tufan kahan se aaj uTha hai mere andar
KHamoshi se jhel rahi hai garmi sardi har mausam ki
majburi ki chadar oDhe ek ana hai mere andar
aaj na jaane kyun lagta hai dil ka mausam nikhra nikhra
fasl-e-junun ka mehman ban kar kaun ruka hai mere andar
zulf ke sae KHwab ki manzil ras use kya aaegi ab
sahra sahra KHak jo kab se chhan raha hai mere andar
aaj bhi jaane kyun lagta hai itna hi anjaan sa kuchh wo
jis ne sare dukh-sukh banTe sath raha hai mere andar
kab se khaDa main soch raha hun iman ke dorahe par ye
ek to wo jo sab ka KHuda hai ek KHuda hai mere andar

Ghazal
Reza reza jaise koi TuT gaya hai mere andar
Syed Shakeel Desnavi