اردو हिंदी
Reaya zulm pe jab sar uThane lagti hai | Shaahi Shayari
reaya zulm pe jab sar uThane lagti hai

Ghazal

Reaya zulm pe jab sar uThane lagti hai

Tariq Qamar

;

reaya zulm pe jab sar uThane lagti hai
to eqtidar ki lau thartharane lagti hai

hamesha hota hun koshish mein bhul jaane ki
wo yaad aur bhi shiddat se aane lagti hai

haqir karti hai yun bhi kabhi kabhi duniya
mere zamir ki qimat lagane lagti hai

ye raushnai jo phaili hai tere ashkon se
ye siskiyon ki sadaen sunane lagti hai

ghurub hota hai suraj to mere sine se
ye kaisi rone ki aawaz aane lagti hai

ye maslahat hai bujhane ka jab irada ho
hawa diye ki kamar thapthapane lagti hai

mere dariche mere baam muskuraate hain
wo jab gali se meri aane jaane lagti hai