اردو हिंदी
Rawan dawan nahin yan ashk chashm-e-tar ki tarah | Shaahi Shayari
rawan dawan nahin yan ashk chashm-e-tar ki tarah

Ghazal

Rawan dawan nahin yan ashk chashm-e-tar ki tarah

Amanat Lakhnavi

;

rawan dawan nahin yan ashk chashm-e-tar ki tarah
girah mein rakhte hain hum aabru guhar ki tarah

suni sifat kisi KHush-chashm ki jo mardum se
KHayal dauD gaya aankh par nazar ki tarah

chhupi na KHalq-e-KHuda se haqiqat-e-KHat-e-shauq
uDa jahan mein kabutar mera KHabar ki tarah

siwae yar na dekha kuchh aur aalam mein
sama gaya wo meri aankh mein nazar ki tarah

adam ki rah mein khaTka raha jahannam ka
safar ne dil ko jalaya mere saqar ki tarah

khule jo sab to bandha tar miThi baaton ka
shakar girah mein wo rakhte hain neshkar ki tarah

wo andalib hun shahpar jo mera mil jae
chaDhaen sar pe salatin huma ke par ki tarah

zakat de zar-e-gul ki bahaar mein gulchin
chaman mein phul luTa ashrafi ke zar ki tarah

giri hai chhuT ke jo zanu pe sham ko afshan
sitare yar ke daman mein hain sahar ki tarah

mushaire ka 'amanat' hai kis ko hijr mein hosh
kahan ke sher kahan ki ghazal kidhar ki tarah