raushni wale to duniya dekhen
hum andhere ke siwa kya dekhen
apni qismat mein bhi kuchh hai ki nahin
ab zara hath to phaila dekhen
tu kabhi subh ka tara ban jae
hum tujhe dur se tanha dekhen
aag pani mein agar jang hui
kis taraf aadmi hoga dekhen
jaan se hath na dhoe jaen
aur bahta hua dariya dekhen
kis ke aangan ko ujala baKHshe
'ram' TuTa hua tara dekhen
Ghazal
Raushni wale to duniya dekhen
Ram Riyaz

