raushni si kabhi kabhi dil mein
manzil-e-be-nishan se aati hai
lauT kar nur ki kiran jaise
safar-e-la-makan se aati hai
nau-e-insan hai gosh-bar-awaz
kya KHabar kis jahan se aati hai
apni fariyaad bazgasht na ho
ek sada aasman se aati hai
taKHta-e-dar hai ki taKHta-e-gul
bu-e-KHun gulistan se aati hai
dil se aati hai baat lab pe 'hafiz'
baat dil mein kahan se aati hai
Ghazal
Raushni si kabhi kabhi dil mein
Hafeez Hoshiarpuri