raushni phaili to sab ka rang kala ho gaya
kuchh diye aise jale har-su andhera ho gaya
jis ne mera sath chhoDa aur kisi ka ho gaya
sach to ye hai mujh se bhi baDh kar wo tanha ho gaya
waqt ka ye moD kaisa hai ki tujh se mil ke bhi
tujh ko kho dene ka gham kuchh aur gahra ho gaya
hum ne tanhai ki chadar tan li aur so gae
log jab kahne lage uTTho sawera ho gaya
Dubta suraj hun main wo mera saya dekh kar
sochta ye hai qad us ka mujh se lamba ho gaya
chand lamhe the jo barson baad tak bite nahin
kuchh baras wo bhi the jin ka ek lamha ho gaya
jab zaban kholi to sab ko nind si aane lagi
chup hue to yun laga har shaKHs bahra ho gaya
sath us ka chhoD kar aae to ye aalam raha
hum ne jis chehre ko dekha us ka chehra ho gaya
is talluq ko bhala 'azad' main kya nam dun
wo kisi ka ho ke bhi kuchh aur mera ho gaya
Ghazal
Raushni phaili to sab ka rang kala ho gaya
Azad Gulati