اردو हिंदी
Raushan hai faza shams koi hai na qamar hai | Shaahi Shayari
raushan hai faza shams koi hai na qamar hai

Ghazal

Raushan hai faza shams koi hai na qamar hai

Heera Lal Falak Dehlvi

;

raushan hai faza shams koi hai na qamar hai
shair hun mujhe arsh-e-mualla ki KHabar hai

dariya mein hain girdab kinare pe bagule
aaram ki surat na idhar hai na udhar hai

patte ki khaDak se bhi larazta hai mera dil
sae se bhi KHatra mujhe dauran-e-safar hai

ek mauj bhi rakhti hai kinare ki tamanna
aawara jo phirta hun ye mera hi jigar hai

ek tair-e-mahsur asiri ka muKHalif
uD sakta hai bazu mein agar ek bhi par hai

maujon ko pata kya hai samundar ko KHabar kya
kis abr ki shoKHi hai sadaf mein jo guhar hai

kya ashk kisi TuTte tare pe bahaun
KHud apna hi anjam 'falak' pesh-e-nazar hai