اردو हिंदी
Raqs karta hun jam pita hun | Shaahi Shayari
raqs karta hun jam pita hun

Ghazal

Raqs karta hun jam pita hun

Abdul Hamid Adam

;

raqs karta hun jam pita hun
aam milti hai aam pita hun

jhuT main ne kabhi nahin bola
zahidan-e-kiram pita hun

ruKH hai pur-nur to tajjub kya
baada-e-lala-fam pita hun

itni tezi bhi kya pilane mein
aabgine ko tham pita hun

kaam bhi ek namaz hai meri
KHatm karte hi kaam pita hun

tere hathon se kis ko milti hai?
mere mah-e-tamam pita hun

zindagi ka safar hi aisa hai
dam-ba-dam gam gam pita hun

mujh ko mai se baDi mohabbat hai
main ba-sad-ehtiram pita hun

mai mere honT chum leti hai
le ke jab tera nam pita hun

shaiKH o mufti 'adam' jab aa jaen
ban ke un ka imam pita hun