raqs karta hai ba-andaz-e-junun dauDta hai
dil agar KHush ho to chehre pe bhi KHun dauDta hai
kabhi sarsabz hai manzar kabhi be-ab-o-giyah
kisht-e-ummid mein ye kaisa fusun dauDta hai
jazba-e-ishq bahut KHak uData hai magar
ku-e-jaanan mein ba-andaz-e-sukun dauDta hai
sirf maKHluq-e-KHuda par hi to mauquf nahin
sina-e-dahr mein bhi soz-e-darun dauDta hai
KHastagi aisi to mujh par kabhi guzri hi na thi
ab ke sar-ta-ba-qadam haal-e-zabun dauDta hai
yaad aati hi nahin KHana-KHarabi apni
mutmain ghar hai ab aangan mein sukun dauDta hai
kaisi wahshat hai ki dam lene ki fursat bhi nahin
jis ko dekho wahi ham-rang-e-junun dauDta hai
ghaur karta hun to har lamha-e-be-tab yahan
jitna main sochta tha us se fuzun dauDta hai
apni raftar pe nazan bhi hun sharminda bhi
razm-gah mein koi be-wajh bhi yun dauDta hai
aisi virani to dekhi na suni thi 'aKHtar'
har taraf aalam-e-fani mein sukun dauDta hai
Ghazal
Raqs karta hai ba-andaz-e-junun dauDta hai
Sultan Akhtar

