ranj-e-duniya ho ki ranj-e-ashiqi kya dekhna
sari KHushiyan hairaten sab ek si kya dekhna
bagh bazar-e-tamasha aankh juya-e-bahaar
chashm-e-nargis ya tan-e-sarw-e-sahi kya dekhna
dekhna kya ek hi shai su-e-baatin dekhiye
be-hisi be-chehragi be-manzari kya dekhna
saz mein baala-e-naghma aur aawazen bhi hain
ek sharar-e-naghmagi aawaz ki kya dekhna
rah-e-sahra hai na aati hai kahin fasl-e-bahaar
ishq mein diwangi jama-dari kya dekhna
mushkilon mein kaam aa jati hai aashufta-sari
ai junun-saman-e-kar-e-agahi kya dekhna
jab use dekha to ji chaha ki dekha hi karun
sochta ye tha ki naz-e-dilbari kya dekhna
Ghazal
Ranj-e-duniya ho ki ranj-e-ashiqi kya dekhna
Syed Amin Ashraf

