اردو हिंदी
Rang us mahfil-e-tamkin mein jamaya na gaya | Shaahi Shayari
rang us mahfil-e-tamkin mein jamaya na gaya

Ghazal

Rang us mahfil-e-tamkin mein jamaya na gaya

Ravish Siddiqi

;

rang us mahfil-e-tamkin mein jamaya na gaya
KHamushi se bhi mera haal sunaya na gaya

wahshat-e-dil ne hijabaat-e-jahan chaak kiye
ek parda ruKH-e-jaanan se uThaya na gaya

ishq ek dagh sahi daman-e-hasti pe magar
KHud mashiyyat se bhi ye dagh miTaya na gaya

kar diya daftar-e-hasti to pareshan dal ne
magar ek KHwab-e-pareshan ko bhulaya na gaya

wo andhera tha ki hangam-e-sahar bhi hum se
sham-e-andoh-e-judai ko bujhaya na gaya

sarhad-e-ishq se aage na baDhi wahshat-e-ishq
husn-e-hushyar ko diwana banaya na gaya

lakh unwan se bhulana unhen chaha tha 'rawish'
kisi unwan se magar un ko bhulaya na gaya