rang tabir ka TuTe hue KHwabon mein nahin
chhanw ka lams kahin jaise sarabon mein nahin
kar diya sahir-e-tahzib ne patthar in ko
chehre lamhon ke wo resham ki naqabon mein nahin
aa ke sahil pe hawas ke na yun maujon se Daro
rang gahrai mein paoge hababon mein nahin
ang ang us ka tha ek nile nashe mein Duba
abadi kaif wo botal ki sharabon mein nahin
meri ek baat pe kin us ne hazaron baaten
husn-e-maqsud magar us ke jawabon mein nahin
ab to aaseb musallat hai yahan hasrat ka
aas ki koi pari dil ke KHarabon mein nahin
us se Takra ke bikharne mein jo lazzat hai 'salim'
is qadar hazz-e-shikast aur azabon mein nahin

Ghazal
Rang tabir ka TuTe hue KHwabon mein nahin
Saleem Shahzad