rang par kal tha abhi lala-e-gulshan kaisa
be-charagh aaj hai har ek nasheman kaisa
dil-e-pur-dagh jo hota hai lahad mein betab
jhilmilata hai charagh-e-sar-e-madfan kaisa
main kahin ka na raha baad-e-KHizan ke chalte
uD gaya mere muqaddar se nasheman kaisa
ab KHuda jaane bahaar aati hai us mein ki nahin
mere dam se kabhi aabaad tha gulshan kaisa
chhup ke raaton ko kahin aap na aae na gae
be-sabab nam hua aap ka raushan kaisa
mal hathon ne liya honThon ne afshan chun li
aa ke qabu mein luTa aap ka joban kaisa
hum ne dekhe hain maqamat-e-tajalli un ke
tur kahte hain kise wadi-e-aiman kaisa
hai abhi mere buDhape mein jawani kaisi
hai abhi un ki jawani mein laDakpan kaisa
zabh ke waqt bahut saf raha tha ye to
de uTha KHun dam-e-hashr ye daman kaisa
to dhari jaegi us ghar se jo nikli koi baat
nigah-e-shauq ye diwar mein rauzan kaisa
meri saj-dhaj to koi ishq-e-butan mein dekhe
sath qashqe ke hai zunnar-e-barahman kaisa
aae hain dagh naya dene wo mujh ko pas-e-marg
aaj phaila hai ujala sar-e-madfan kaisa
misi-malida lab-e-yar ki sun kar tarif
munh phulae hue hai ghuncha-e-sausan kaisa
baghban kaam hamein kya hai wo ujDe ki rahe
jab hamein bagh se nikle to nasheman kaisa
parsa ban ke 'riyaz' aae hain maiKHane mein
aap baiThe hain bachae hue daman kaisa
Ghazal
Rang par kal tha abhi lala-e-gulshan kaisa
Riyaz Khairabadi

