اردو हिंदी
Rang KHake mein naya bhar dunga main | Shaahi Shayari
rang KHake mein naya bhar dunga main

Ghazal

Rang KHake mein naya bhar dunga main

Farooq Nazki

;

rang KHake mein naya bhar dunga main
dushmanon se dosti kar lunga main

phir nahin aane ka KHwabon mein tere
shahr se tere agar jaunga main

mein bahut ziddi hun lekin jaan-e-man
tu bulae to zarur aaunga main

hai tazadon ka chaman mera wajud
fasl-e-gul ka marsiya gaunga main

kanch ke alfaz kaghaz par na rakh
sang-e-mani ban ke Takraunga main

raste ke waste ek jam do
nim shab hai ab to ghar jaunga main