اردو हिंदी
Rang jazbaat mein bhar jaane ko ji chahta hai | Shaahi Shayari
rang jazbaat mein bhar jaane ko ji chahta hai

Ghazal

Rang jazbaat mein bhar jaane ko ji chahta hai

Niyaz Husain Lakhwera

;

rang jazbaat mein bhar jaane ko ji chahta hai
kaam ek pyara sa kar jaane ko ji chahta hai

dasht-e-tarik to ek umr hui chhan liya
ab to suraj ke nagar jaane ko ji chahta hai

ruh mein KHwahishen itni hain ki jina chahun
karb itna hai ki mar jaane ko ji chahta hai

KHauf-e-ehsas-e-nadamat ko miTane ke liye
raat Dhal jae to ghar jaane ko ji chahta hai

dard rag rag mein kuchh is tarah utar jata hai
zindagi se bhi mukar jaane ko ji chahta hai

shayad is tarah mile apni haqiqat ka suragh
aap apne mein utar jaane ko ji chahta hai