rakkho KHidmat mein mujh se kaam to lo
baat karte nahin salam to lo
mai piyo tum surur ho mujh ko
hath se mere ek jam to lo
baat tum ne nahin ki ghair se kal
sar pe allah ka kalam to lo
banda hota hun aap ka be-dam
howe darkar agar ghulam to lo
naz-o-andaz husn-o-KHubi mein
kaun hai tum sa us ka nam to lo
aap farmaen jo baja laun
kabhi mujh se bhi koi kaam to lo
munh se aane lagegi itr ki bu
nam-e-gesu-e-mushk-e-fam to lo
pahle kar lo rasai zulf talak
silsile ko junun ke tham to lo
phir taDap lijiyo giraftaro
dam bhar aaram zer-e-dam to lo
mai piyo jo nahin pilate ho
mujh ko dete nahin ho jam to lo
naz-bardar dusra mujh sa
kaun aashiq hai us ka nam to lo
'rind' hazir hain shisha-o-saghar
mai na samjho agar haram to lo
Ghazal
Rakkho KHidmat mein mujhse kaam to lo
Rind Lakhnavi

