اردو हिंदी
Rakhta hai yun wo zulf-e-siyah-fam dosh par | Shaahi Shayari
rakhta hai yun wo zulf-e-siyah-fam dosh par

Ghazal

Rakhta hai yun wo zulf-e-siyah-fam dosh par

Baqaullah u0027Baqau0027

;

rakhta hai yun wo zulf-e-siyah-fam dosh par
sayyaad jis tarah se dhare dam dosh par

shane talak chaDhe bin ab aansu ko kab hai chain
sach hai ki howe tifl ko aaram dosh par

ek din mila jo shaiKH to phir mai-kashon ke sath
sar par liye phirega subu jam dosh par

milna to aaj bhi na hua shab ko aur uTha
ifa-e-wada ai but KHud-kaam dosh par

hai dil mein ghar ko shahar se sahra mein le chalen
uThwa ke aansuon se dar-o-baam dosh par

wo zisht-baKHt hun ki malaek ko bhi mere
likhne ka pesh aawe jo kuchh kaam dosh par

neki meri to nam badon ke karen raqam
zishti likhen badon ki mere nam dosh par

mutrib bachon ne shaiKH ko Tangiya liya tamam
li waqt-e-ja-e-KHilat-e-inam dosh par

Dala na bar-e-ishq zamin par 'baqa' ne yar
sar se agar gira to liya tham dosh par