اردو हिंदी
Rahm kar zalim ki kya bud-e-charagh-e-kushta hai | Shaahi Shayari
rahm kar zalim ki kya bud-e-charagh-e-kushta hai

Ghazal

Rahm kar zalim ki kya bud-e-charagh-e-kushta hai

Mirza Ghalib

;

rahm kar zalim ki kya bud-e-charagh-e-kushta hai
nabz-e-bimar-e-wafa dud-e-charagh-e-kushta hai

dil-lagi ki aarzu bechain rakhti hai hamein
warna yan be-raunaqi sud-e-charagh-e-kushta hai

nashsha-e-mai be-chaman dud-e-charagh-e-kushta hai
jam dagh-e-shola-andud-e-charagh-e-kushta hai

dagh-e-rabt-e-ham hain ahl-e-bagh gar gul ho shahid
lala chashm-e-hasrat-alud-e-charagh-e-kushta hai

shor hai kis bazm ki arz-e-jarahat-KHana ka
subh yak-bazm-e-namak sud-e-charagh-e-kushta hai