rahi na yaro aaKHir sakat hawaon mein
chaar diye raushan hain chaar dishaon mein
kai jami thi sine mein jaane kab se
chiKH uTha wo aa kar khuli fazaon mein
apni gum aawazen aao talash karen
sabz parindon ki sayyal sadaon mein
main bhi kured raha tha KHak ki parton ko
wo bhi jhank raha tha dur KHalaon mein
ThanDi chhanw dekh ke wo aa baiTha tha
ulajh gaya bargad ki ghani jaTaon mein
ghaT ghaT koshish ki par utarne ki
lahr koi dushman thi sab dariyaon mein
wo sarsabz zaminon tak ham-safar raha
uD na saka phir mere sath hawaon mein
pani zara barasne de manzar phir dekh
rang chhupe hain sab in siyah ghaTaon mein
aa main tere man mein jhankun aur bataun
kyun tasir nahin hai teri duaon mein
sab aapas mein laD kar basti chhoD gae
KHush KHush ja aabaad hue sahraon mein
ek talab ne 'bani' bahut KHarab kiya
aaKHir hum bhi hue shumar gadaon mein

Ghazal
Rahi na yaro aaKHir sakat hawaon mein
Rajinder Manchanda Bani