rahe hum aashiyan mein bhi to barq-e-ashiyan ho kar
laga di aag apne ghar mein sargarm-e-fughan ho kar
na apne gham-zadon ko KHush karo ab mehrban ho kar
buto tum KHush raho hum kya karenge shadman ho kar
khile ghunche na bu phuTi na shaKH-e-gul phali-phuli
qafas mein jab se hum aae bahaar aai KHizan ho kar
chale ho gul-badaman kuchh to kahte jao un se bhi
ki tum se kah rahe hain kuchh anadil ham-zaban ho kar
jawan hone na pae the ki dil aaya hasinon par
ajal ye kahti aai kya karoge tum jawan ho kar
hue past aise un ki KHak bhi uDte nahin dekhi
rahe rahne ko kitne is zamin par aasman ho kar
jo khul kar war musa par to hum par choT parde mein
wahi jalwa ayan ho kar wahi jalwa nihan ho kar
qayamat un ki chheDen hain mere betab karne ko
jo nawak aae chuTki se to un ki chuTkiyan ho kar
milaya KHak ho kar hasraton ko apni miTTi mein
chhupaya karwan ko hum ne gard-e-karwan ho kar
kabhi taqrir-e-saqi mein jo laghzish us ne pai hai
to mauj-e-mai ne hum se guftugu ki hai zaban ho kar
ye rangin nara-e-mastana kis ke hain are zahid
sada naqus ki de di kahin gunji azan ho kar
tere kuche mein pisa hai usi ne hum gharibon ko
gira hai saya-e-diwar hum par aasman ho kar
kisi mahram sambhaalegi na dohrae hue aanchal
rahenge wo na qabu mein kisi ke bhi jawan ho kar
dakan mein kya wazir-e-fauj ne mehman nawazi ki
janab-e-'shad' ke dar se phire hum shadman ho kar
'riyaz' is waza se pahunche ki bole mai-kade wale
buzurg-e-KHizr-surat aae jannat mein jawan ho kar
Ghazal
Rahe hum aashiyan mein bhi to barq-e-ashiyan ho kar
Riyaz Khairabadi

