raha shamil jo mere ratjagon mein kaun tha wo
jo tha taskin-e-jaan tanhaiyon mein kaun tha wo
meri aawaz jaisi aur bhi aawaz thi ek
yaqinan tha koi to parbaton mein kaun tha wo
jo mere sath pahuncha manzilon tak kaun hai ye
jise main chhoD aaya raston mein kaun tha wo
bahut milta tha mujh se war karne ka tariqa
jo ek mujh sa tha mere dushmanon mein kaun tha wo
wo tera gham tha mera aks tha ya wahima tha
jo mere ru-ba-ru tha aainon mein kaun tha wo
kaTe sar ko hatheli par sajae ghumta tha
meri basti ki KHwabida shabon mein kaun tha wo
Ghazal
Raha shamil jo mere ratjagon mein kaun tha wo
Shafiq Saleemi

