rah kar makan mein mere mehman jaiye
mera bhi ek bar kaha man jaiye
kahta har ek hai teri taswir dekh kar
is shakl is shabih ke qurban jaiye
mujh ko pila ke bazm mein kahne lage wo aaj
bas jaiye yahan se meri jaan jaiye
sumbul ne aaj nargis-e-hairan se ye kaha
jab jaiye chaman mein pareshan jaiye
main ne kaha ye un se jab aae wo waqt-e-naza
hai aaKHiri sawal mera man jaiye
naqsh-e-qadam tera hai har ek ghairat-e-chaman
ai yar teri chaal ke qurban jaiye
ai yar dekh zulf-e-moambar na khol tu
aage hi dil hai apna pareshan jaiye
jis se kabhi tha tum ko shab-o-roz iKHtilat
ye hai wahi to 'mashriqi' pahchan jaiye

Ghazal
Rah kar makan mein mere mehman jaiye
Sardar Genda Singh Mashriqi