radif qafiya bandish KHayal lafz-gari
wo hur zina utarte hue sikhane lagi
kitab bab ghazal sher bait lafz huruf
KHafif raqs se dil par ubhaare mast pari
kalam aruz taghazzul KHayal zauq-e-jamal
badan ke jam ne alfaz ki surahi bhari
salis shusta murassa nafis naram rawan
daba ke danton mein aanchal ghazal uThai gai
qasida sher musaddas rubai nazm ghazal
mahakte honTon ki tafsir hai bhali se bhali
majaz qaid muamma shabih istiqbaal
kisi se aankh milane mein adbiyat paDhi
qarina sarqa ishaara kinaya ramz sawal
haya se jhukti nigahon mein jhankte the sabhi
bayan ilm-e-maani fasahat ilm-e-balagh
bayan kar nahin sakte kisi ki ek hansi
qayas qaid tanasub shabih saja nazir
kali ko chuma to jaise kali kali se mili
tarannum arz mukarrar sunaiye irshad
kisi ne suniye kaha bazm jhum jhum gai
huzur qibla janab aap dekhiye sahab
kisi ki shan mein goya lughat banai gai
harir atlas-o-kamKHwab pankhuDi resham
kisi ke phul se talwon se shah-mat sabhi
gulab ambar-o-raihan motiya loban
kisi ki zulf-e-muattar mein sab ki KHushbu mili
kisi ke marmarin aaine mein numayan hain
ghaTa bahaar dhanak chand phul dip kali
kisi ka ghamza sharabon se chur qaus-e-quzah
ada ghurur jawani surur ishwa-gari
kisi ke shirin-labon se udhaar lete hain
miThas shahd rutab chini qand misri Dali
kisi ke nur ko chundhiya ke dekhen hairat se
charagh jugnu sharar aaftab phul jhaDi
kisi ko chalta hua dekh len to chalte banen
ghazal morni maujen nujum abr ghaDi
kisi ki madh-bhari aankhon ke aage kuchh bhi nahin
thakan sharab dawa gham KHumar nim-shabi
kisi ke sath nahate hain tez barish mein
libas gajre ufuq aankh zulf honT hansi
kisi ka bhiga badan gul khilata hai akasr
gulab rani kanwal yasmin champa-kali
ba-shart-e-fal kisi KHal par main warunga
chaman pahaD daman dasht jhil KHushki tari
ye jam chhalka ki aanchal bahaar ka Dhalka
sharir shosha sharara shabab shar shoKHi
kisi ki tursh-rui ka sabab yahi to nahin
achaar lemu anar aam TaTri imli
kisi ke husn ko bin mange baj dete hain
wazir mir sipahi faqih zauq-e-shahi
nigahen chaar huin waqt hosh kho baiTha
sadi dahai baras mah roz aaj abhi
wo ghuncha yakja hai chunki wara-e-fikr-o-KHayal
palak na jhapken to dikhlaun patti patti abhi
siyah zulf ghaTa jal jadu jang jalal
fusun shabab shikaran sharab raat ghani
jabin charagh muqaddar kushada dhup sahar
ghurur qahr tajjub kamal nur bhari
zarif abru ghazab ghamza ghussa ghaur ghazal
ghamanD qaus qaza ishq tanz nim saKHi
palak fasana shararat hijab tir dua
tamanna nind ishaara KHumar saKHt thaki
nazar ghazal mohabbat naqab jhil ajal
surur-e-ishq taqaddus fareb-e-amr-o-nahi
nafis nak nazakat siraat adl bahaar
jamil sutwan moattar latif KHushbu rachi
gulabi gal shafaq seb surKHi ghaza kanwal
tilism chah bhanwar naz sharm narm-gari
do lab aqiq guhar pankhuDi sharab-e-kuhan
laziz naram mulaem sharir bhigi kali
nashili ThoDi tabassum taraazu chah-e-zaqan
KHamida KHandan KHajista KHumar patli gali
gala surahi nawa git soz aah asar
tarang chiKH tarannum tarana sur ki laDi
hatheli reshmi nazuk malai narm latif
hasin marmarin sandal safed dudh dhuli
kamar KHayal maTakti kali lachakta shabab
kaman TuTti angDai hashr jaan-kani
pari ke paon gulabi gudaz raqs-parast
taDapti machhliyan mehrab-e-lab thirakti kali
janab dekha sarapa gulab marmar ka
abhi ye sher the sheron mein chand utra kabhi
ghazal huzur bas apne talak hi rakhiyega
wo ruTh jaega mujh se jo us ki dhum machi
jhuka ke nazren koi bola iltimas-e-dua
uTha ke hath wo KHairaat-e-husn dene lagi
kashish se husn ki chanda mein uThe madd-o-jazr
kisi ko sans chaDha sab ki sans phul gai
jo us pe bund giri abr kapkapa uTTha
is ek lamhe mein kafi gharon pe bijli giri
qayamat aa gai KHushbu ki kaliyan chiKH paDin
gulab bola nahin ghaaliban wo zulf khuli
tawaf karti hai masumiyat yun kamsin ka
ki qatl kar de adalat mein bhi to saf bari
badan pe hashiya likhna nigah par tafsir
muqallidin hain shoKHi ke apni shaiKH kai
tamam shahar mein sina-ba-sina phail gai
kisi ke bhige labon se waba-e-tishna-labi
gulab aur aisa ki tanha bahaar le aae
bahisht mein bhi hai gunjaan shoKH gul ki gali
kamal-e-laila to dekho ki sirf nam liya
phir us ke baad charaghon mein raushni na rahi
gulabi aankhon mein aise bhanwar the masti ke
sharab Dub ke un mein bahut halal lagi
jasarat aks pe lab rakhne ki nahin karte
bahut hua bhi to palkon se gudgudi kar di
na jaane pahli nazar kyun halal hoti hai
kisi ke husn pe pahli nazar hi mahngi paDi
chaman mein phul na toDen likha tha so hum ne
gulab-zadi ko pahna di titliyon ki laDi
kisi ka zulf ko lahra ke chalna uf tauba
sharab-e-nab azal ke nashe mein mast pari
wo bolta hai to kanon mein shahd gholta hai
mariz-e-qand pe qadghan hai us ko sunne ki
kali ko chhoD ke naqsh-e-qadam pe baiTh gai
qalam hilae bina titli ne ghazal kah di
sanam aur aisa ki but us ke aage jhuk jaen
dua di us ne to do dewiyon ki god bhari
ata-e-husn thi 'qais' ek jhalak mein shoKH ghazal
kitab likhta main us par magar wo phir na mili

Ghazal
Radif qafiya bandish KHayal lafz-gari
Shahzad Qais