raaten mubarak saaton wali aur din barakat wale
meri punji kab lauTaega nili chhat wale
hadd-e-nigah tilak phaila hai an-dekha aaseb
gosha-e-dil mein jhilmil jhilmil dip ibaadat wale
chaaron jaanib rachi hui hai ashkon ki bu-bas
is raste se guzre honge qafile hijrat wale
ek kali mahkae hue thi pure bagh ka bagh
us ki gali ke sare log the achchhi aadat wale
kabhi ye aankhen KHud bhi uDa karti thin patang ke sath
dur dariche se hote the ishaare hairat wale
pichhli raat ke qahr se pahle ki hai baat jamal
apni jholi mein the chand sitare qismat wale
Ghazal
Raaten mubarak saaton wali aur din barakat wale
Jamal Ehsani

