اردو हिंदी
Raat ki zulfen bhigi bhigi aur aalam tanhai ka | Shaahi Shayari
raat ki zulfen bhigi bhigi aur aalam tanhai ka

Ghazal

Raat ki zulfen bhigi bhigi aur aalam tanhai ka

Kaleem Usmani

;

raat ki zulfen bhigi bhigi aur aalam tanhai ka
kitne dard jaga deta hai ek jhonka purwai ka

uDte lamhon ke daman mein teri yaad ki KHushbu hai
pichhli raat ka chand hai ya hai aks teri angDai ka

kab se na jaane galiyon galiyon sae ki surat phirte hain
kis se dil ki baat karen hum shahr hai us har jai ka

ishq hamari barbaadi ko dil se duaen deta hai
hum se pahle itna raushan nam na tha ruswai ka

sher hamare sun kar aksar dil wale ro dete hain
hum bhi liye phirte hain dil mein dard kisi shahnai ka

tum ho 'kalim' ajab diwane baat anokhi karte ho
chah ka bhi arman hai dil mein KHauf bhi hai ruswai ka