اردو हिंदी
Raat ka nam sawera hi sahi | Shaahi Shayari
raat ka nam sawera hi sahi

Ghazal

Raat ka nam sawera hi sahi

Hafeez Banarasi

;

raat ka nam sawera hi sahi
aap kahte hain to aisa hi sahi

kya burai hai agar dekh len hum
zindagi ek tamasha hi sahi

kuchh to kandhon pe liye hain hum log
apne armanon ka lasha hi sahi

pichhe haTna hamein manzur nahin
samne aag ka dariya hi sahi

kya zaruri hai ki main nam bhi lun
mera dushman koi apna hi sahi

aaina dekh ke Dar jata hun
aaina mera shanasa hi sahi

mera qad aap se uncha hai bahut
main 'hafiz' aap ka saya hi sahi