raat gahri thi phir bhi sawera sa tha
ek chehra ki aankhon mein Thahra sa tha
be-charagi se teri mere shahr-e-dil
wadi-e-sher mein kuchh ujala sa tha
mere chehre ka suraj use yaad hai
bhulta hai palak par sitara sa tha
baat kije to khulte the jauhar bahut
dekhne mein to wo shaKHs sada sa tha
sulh jis se rahi meri ta-zindagi
us ka sare zamane se jhagDa sa tha
Ghazal
Raat gahri thi phir bhi sawera sa tha
Zehra Nigaah