اردو हिंदी
Raat gae yun dil ko jaane sard hawaen aati hain | Shaahi Shayari
raat gae yun dil ko jaane sard hawaen aati hain

Ghazal

Raat gae yun dil ko jaane sard hawaen aati hain

Muzaffar Warsi

;

raat gae yun dil ko jaane sard hawaen aati hain
ek darwesh ki qabr pe jaise raqqasaen aati hain

sada-lauhi ki nibTegi is rangin zamane se
do aankhon ka pichha karne lakh adaen aati hain

DhunDh rahi hai mere tan mein shayad meri ruh mujhe
apne sannaTon se kuchh manus sadaen aati hain

mera ek ek lamha karb liye phirta hai sadiyon ka
ek duniya ke raste mein kitni duniyaen aati hain

pahle sar se unchi lahron se bhi hum laD lete the
ab to in sukhe honTon par sirf duaen aati hain

dasht-nawardi ke dauran 'muzaffar' sar par dhup rahi
jab se kashti mein baiThe hain roz ghaTaen aati hain