raat din chain hum ai rashk-e-qamar rakhte hain
sham awadh ki to banaras ki sahar rakhte hain
bhanp hi lenge ishaara sar-e-mahfil jo kiya
taDne wale qayamat ki nazar rakhte hain
DhunDh leta main agar aur kisi ja hote
kya kahun aap dil-e-ghair mein ghar rakhte hain
ashk qabu mein nahin raaz chhupaun kyunkar
dushmani mujh se mere dida-e-tar rakhte hain
kaise be-rahm hain sayyaad ilahi tauba
mausam-e-gul mein mujhe kaT ke par rakhte hain
kaun hain hum se siwa naz uThane wale
samne aaen jo dil aur jigar rakhte hain
dil to kya chiz hai patthar ho to pani ho jae
mere nale abhi itna to asar rakhte hain
chaar din ke liye duniya mein laDai kaisi
wo bhi kya log hain aapas mein sharar rakhte hain
haal-e-dil yar ko mahfil mein sunaun kyun kar
muddai kan udhar aur idhar rakhte hain
jalwa-e-yar kisi ko nazar aata kab hai
dekhte hain wahi us ko jo nazar rakhte hain
aashiqon par hai dikhane ko itab ai 'jauhar'
dil mein mahbub inayat ki nazar rakhte hain
Ghazal
Raat din chain hum ai rashk-e-qamar rakhte hain
Lala Madhav Ram Jauhar