raat bhar KHwab ke dariya mein sawera dekha
din ke sahil pe jo utre to andhera dekha
KHud ko likkha bhi hai main ne hi miTaya bhi hai KHud
qalam-e-ghair ne saya bhi na mera dekha
jin ke chehron pe chamak nur ka haala atraf
un ke zehnon ko jo khola to andhera dekha
jin ke teshon ko raha koh-kani ka dawa
unhen mahlon ka bhi karte hue phera dekha
jo mujhe dene ko aate the gham apne aksar
un ki KHushiyon ne kabhi ghar bhi na mera dekha
umr kul guzri thi paDhte hue chehra tera
aaj DhunDa to kahin aks na tera dekha
jo mujhe barg-e-KHizan samjhi thin un aankhon ne
nam auraq-e-bahaaran pe bhi mera dekha

Ghazal
Raat bhar KHwab ke dariya mein sawera dekha
Waheed Akhtar