raat be-parda si lagti hai mujhe
KHauf ne aisi nazar di hai mujhe
aah is masum ko kaise bataun
kyun use khone ki jaldi hai mujhe
josh mein hain is qadar timardar
Thik hote sharm aati hai mujhe
ek latifa jo samajh mein bhi na aae
us pe hansna kyun zaruri hai mujhe
muntashir hone lage sare KHayal
nind bas aane hi wali hai mujhe
ab junun kam hone wala hai mera
KHair itni to tasalli hai mujhe
lakh maddham ho teri chahat ki lau
raushni utni hi kafi hai mujhe
gard hai barud ki sar mein to kya
maut ek afwah lagti hai mujhe

Ghazal
Raat be-parda si lagti hai mujhe
Shariq Kaifi