اردو हिंदी
Raat aangan mein chand utra tha | Shaahi Shayari
raat aangan mein chand utra tha

Ghazal

Raat aangan mein chand utra tha

Athar Nadir

;

raat aangan mein chand utra tha
tum mile the ki KHwab dekha tha

ab ki KHud hain hisar-e-zat mein band
warna apna bhi zor chalta tha

shisha-e-dil pe aisi choT paDi
ek lamhe mein reza reza tha

us ke kuche ke ho liye warna
rasta har taraf nikalta tha

rut jo badli to ye bhi dekh liya
patta patta zamin pe bikhra tha

ek KHushbu hai jaani pahchani
is KHarabe mein kaun rahta hai

mom ki tarah wo pighal sa gaya
wo jo patthar ki tarah lagta tha

ab ki sunte nahin ho baat magar
phir kahoge ki koi kahta tha

raat sunsan thi magar 'nadir'
hashr sa dil mein ek barpa tha